kab tak rahun main KHauf-zada apne aap se
kab tak rahūñ maiñ ḳhauf-zada apne aap se
ik din nikal na jā.ūñ zarā apne aap se
jis kī mujhe talāsh thī vo to mujhī meñ thā
kyuuñ aaj tak maiñ duur rahā apne aap se
duniyā ne tujh ko merā muḳhātab samajh liyā
mahv-e-suḳhan thā maiñ to sadā apne aap se
tujh se vafā na kī to kisī se vafā na kī
kis tarah intiqām liyā apne aap se
lauT aa darūn-e-dil se pukāre koī mujhe
duniyā kī aarzū meñ na jā apne aap se
kab tak rahun main KHauf-zada apne aap se
ek din nikal na jaun zara apne aap se
jis ki mujhe talash thi wo to mujhi mein tha
kyun aaj tak main dur raha apne aap se
duniya ne tujh ko mera muKHatab samajh liya
mahw-e-suKHan tha main to sada apne aap se
tujh se wafa na ki to kisi se wafa na ki
kis tarah intiqam liya apne aap se
lauT aa darun-e-dil se pukare koi mujhe
duniya ki aarzu mein na ja apne aap se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.