kash uThin hum bhi gunahgaron ke bich
kaash uThīñ ham bhī gunahgāroñ ke biich
huuñ jo rahmat ke sazā-vāroñ ke biich
jī sadā un abrūoñ hī meñ rahā
kī basar ham-umr talvāroñ ke biich
chashm ho to ā.ina-ḳhāna hai dahr
muñh nazar aatā hai dīvāroñ ke biich
haiñ 'anāsir kī ye sūrat-bāziyāñ
sho'bade kyā kyā haiñ un chāroñ ke biich
jab se le niklā hai to ye jins-e-husn
paḌ ga.ī hai dhuum bāzāroñ ke biich
āshikī-o-be-kasī-o-raftagī
jī rahā kab aise āzāroñ ke biich
jo sarishk us maah bin jhamke hai shab
vo chamak kaahe ko hai tāroñ ke biich
us ke ātishnāk ruḳhsāroñ baġhair
loTiye yuuñ kab tak añgāroñ ke biich
baiThnā ġhairoñ meñ kab hai nañg-e-yār
phuul gul hote hī haiñ ḳhāroñ ke biich
yaaro mat us kā fareb-e-mehr khaao
'mīr' bhī the us ke hī yāroñ ke biich
kash uThin hum bhi gunahgaron ke bich
hun jo rahmat ke saza-waron ke bich
ji sada un abruon hi mein raha
ki basar ham-umr talwaron ke bich
chashm ho to aaina-KHana hai dahr
munh nazar aata hai diwaron ke bich
hain 'anasir ki ye surat-baziyan
sho'bade kya kya hain un chaaron ke bich
jab se le nikla hai to ye jins-e-husn
paD gai hai dhum bazaron ke bich
aashiki-o-be-kasi-o-raftagi
ji raha kab aise aazaron ke bich
jo sarishk us mah bin jhamke hai shab
wo chamak kahe ko hai taron ke bich
us ke aatishnak ruKHsaron baghair
loTiye yun kab tak angaron ke bich
baiThna ghairon mein kab hai nang-e-yar
phul gul hote hi hain KHaron ke bich
yaro mat us ka fareb-e-mehr khao
'mir' bhi the us ke hi yaron ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0190
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.