kaam aa sakin na apni wafaen to kya karen
kaam aa sakīñ na apnī vafā.eñ to kyā kareñ
us bevafā ko bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
mujh ko ye e'tirāf duāoñ meñ hai asar
jaa.eñ na arsh par jo duā.eñ to kyā kareñ
ik din kī baat ho to use bhuul jaa.eñ ham
nāzil hoñ dil pe roz balā.eñ to kyā kareñ
zulmat-ba-dosh hai mirī duā-e-āshiqī
tāroñ kī mish.ale na churā.eñ to kyā kareñ
shab bhar to un kī yaad meñ taare ginā kiye
taare se din ko bhī nazar aa.eñ to kyā kareñ
ahd-e-tarab kī yaad meñ royā kiye bahut
ab muskurā ke bhuul na jaa.eñ to kyā kareñ
ab jī meñ hai ki un ko bhulā kar hī dekh leñ
vo baar baar yaad jo aa.eñ to kyā kareñ
va.ade ke e'tibār meñ taskīn-e-dil to hai
ab phir vahī fareb na khā.eñ to kyā kareñ
tark-e-vafā bhī jurm-e-mohabbat sahī magar
milne lageñ vafā kī sazā.eñ to kyā kareñ
kaam aa sakin na apni wafaen to kya karen
us bewafa ko bhul na jaen to kya karen
mujh ko ye e'tiraf duaon mein hai asar
jaen na arsh par jo duaen to kya karen
ek din ki baat ho to use bhul jaen hum
nazil hon dil pe roz balaen to kya karen
zulmat-ba-dosh hai meri dua-e-ashiqi
taron ki mishale na churaen to kya karen
shab bhar to un ki yaad mein tare gina kiye
tare se din ko bhi nazar aaen to kya karen
ahd-e-tarab ki yaad mein roya kiye bahut
ab muskura ke bhul na jaen to kya karen
ab ji mein hai ki un ko bhula kar hi dekh len
wo bar bar yaad jo aaen to kya karen
wade ke e'tibar mein taskin-e-dil to hai
ab phir wahi fareb na khaen to kya karen
tark-e-wafa bhi jurm-e-mohabbat sahi magar
milne lagen wafa ki sazaen to kya karen
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.