kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha
kaalī raat ke sahrāoñ meñ nūr-sipārā likkhā thā
jis ne shahr kī dīvāroñ par pahlā na.ara likkhā thā
laash ke nanhe haath meñ basta aur ik khaTTī golī thī
ḳhuun meñ Duubī ik taḳhtī par ġhain-ġhubāra likkhā thā
āḳhir ham hī mujrim Thahre jaane kin kin jurmoñ ke
fard-e-amal thī jaane kis kī naam hamārā likkhā thā
sab ne maanā marne vaalā dahshat-gard aur qātil thā
maañ ne phir bhī qabr pe us kī rāj-dulārā likkhā thā
kali raat ke sahraon mein nur-sipara likkha tha
jis ne shahr ki diwaron par pahla nara likkha tha
lash ke nanhe hath mein basta aur ek khaTTi goli thi
KHun mein Dubi ek taKHti par ghain-ghubara likkha tha
aaKHir hum hi mujrim Thahre jaane kin kin jurmon ke
fard-e-amal thi jaane kis ki nam hamara likkha tha
sab ne mana marne wala dahshat-gard aur qatil tha
man ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.