kali kali ghaTa barasti hai
kaalī kaalī ghaTā barastī hai
aaj kyā lutf-e-mai-parastī hai
ḳhush lage dil ko kyuuñ na vīrāna
āshiqoñ kī yahī to bastī hai
aaj mahfil meñ ye ḳhayāl rahe
kis kī jānib se pesh-dastī hai
jab ki is kā bhī hai ma.aal yahī
mai-parastī bhī fāqa-mastī hai
ek tīr-e-nazar idhar maaro
dil tarastā hai jaañ tarastī hai
bosa miltā hai jaan ke badle
'mashriqī' ḳhuub jins sastī hai
kali kali ghaTa barasti hai
aaj kya lutf-e-mai-parasti hai
KHush lage dil ko kyun na virana
aashiqon ki yahi to basti hai
aaj mahfil mein ye KHayal rahe
kis ki jaanib se pesh-dasti hai
jab ki is ka bhi hai maal yahi
mai-parasti bhi faqa-masti hai
ek tir-e-nazar idhar maro
dil tarasta hai jaan tarasti hai
bosa milta hai jaan ke badle
'mashriqi' KHub jins sasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.