kāfirī meñ bhī jo chāhat hogī
kuchh to īmāñ kī shabāhat hogī
hashr hai vāda-e-fardā terā
aaj kī raat qayāmat hogī
pūchhā phir hogī mulāqāt kabhī
phir mire haal pe shafqat hogī
kis safā.ī se diyā us ne javāb
dekhā jā.egā jo fursat hogī
ḳhāk-āsūda ġharīboñ ko na chheḌ
ek karvaT meñ qayāmat hogī
aap ke paañv ke nīche dil hai
ik zarā aap ko zahmat hogī
har nafas utnī hī lau degā 'sirāj'
jitnī jis dil meñ harārat hogī
kafiri mein bhi jo chahat hogi
kuchh to iman ki shabahat hogi
hashr hai wada-e-farda tera
aaj ki raat qayamat hogi
puchha phir hogi mulaqat kabhi
phir mere haal pe shafqat hogi
kis safai se diya us ne jawab
dekha jaega jo fursat hogi
KHak-asuda gharibon ko na chheD
ek karwaT mein qayamat hogi
aap ke panw ke niche dil hai
ek zara aap ko zahmat hogi
har nafas utni hi lau dega 'siraj'
jitni jis dil mein hararat hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.