juz tere koi bhi din raat na jaane mere
juz tire koī bhī din raat na jaane mere
tū kahāñ hai magar ai dost purāne mere
tū bhī ḳhushbū hai magar merā tajassus bekār
barg-e-āvāra kī mānind Thikāne mere
sham.a kī lau thī ki vo tū thā magar hijr kī raat
der tak rotā rahā koī sirhāne mere
ḳhalq kī be-ḳhabarī hai ki mirī rusvā.ī
log mujh ko hī sunāte haiñ fasāne mere
luT ke bhī ḳhush huuñ ki ashkoñ se bharā hai dāman
dekh ġhārat-gar-e-dil ye bhī ḳhazāne mere
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
kaash tū bhī merī āvāz kahīñ suntā ho
phir pukārā hai tujhe dil kī sadā ne mere
kaash tū bhī kabhī aa jaa.e masīhā.ī ko
log aate haiñ bahut dil ko dukhāne mere
kaash auroñ kī tarah maiñ bhī kabhī kah saktā
baat sun lī hai mirī aaj ḳhudā ne mere
tū hai kis haal meñ ai zūd-farāmosh mire
mujh ko to chhīn liyā ahd-e-vafā ne mere
chārā-gar yuuñ to bahut haiñ magar ai jān-e-'farāz'
juz tire aur koī zaḳhm na jaane mere
juz tere koi bhi din raat na jaane mere
tu kahan hai magar ai dost purane mere
tu bhi KHushbu hai magar mera tajassus bekar
barg-e-awara ki manind Thikane mere
shama ki lau thi ki wo tu tha magar hijr ki raat
der tak rota raha koi sirhane mere
KHalq ki be-KHabari hai ki meri ruswai
log mujh ko hi sunate hain fasane mere
luT ke bhi KHush hun ki ashkon se bhara hai daman
dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi KHazane mere
aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair
jis ke hote hue hote the zamane mere
kash tu bhi meri aawaz kahin sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki sada ne mere
kash tu bhi kabhi aa jae masihai ko
log aate hain bahut dil ko dukhane mere
kash auron ki tarah main bhi kabhi kah sakta
baat sun li hai meri aaj KHuda ne mere
tu hai kis haal mein ai zud-faramosh mere
mujh ko to chhin liya ahd-e-wafa ne mere
chaara-gar yun to bahut hain magar ai jaan-e-'faraaz'
juz tere aur koi zaKHm na jaane mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.