KHayal jis ka tha mujhe KHayal mein mila mujhe
ḳhayāl jis kā thā mujhe ḳhayāl meñ milā mujhe
savāl kā javāb bhī savāl meñ milā mujhe
gayā to is tarah gayā ki muddatoñ nahīñ milā
milā jo phir to yuuñ ki vo malāl meñ milā mujhe
tamām ilm ziist kā guzishtagāñ se hī huā
amal guzishta daur kā misāl meñ milā mujhe
nihāl sabz rañg meñ jamāl jis kā hai 'munīr'
kisī qadīm ḳhvāb ke muhāl meñ milā mujhe
KHayal jis ka tha mujhe KHayal mein mila mujhe
sawal ka jawab bhi sawal mein mila mujhe
gaya to is tarah gaya ki muddaton nahin mila
mila jo phir to yun ki wo malal mein mila mujhe
tamam ilm zist ka guzishtagan se hi hua
amal guzishta daur ka misal mein mila mujhe
nihaal sabz rang mein jamal jis ka hai 'munir'
kisi qadim KHwab ke muhaal mein mila mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.