juda rahta hun main tujhse to dil be-tab rahta hai
judā rahtā huuñ maiñ tujh se to dil be-tāb rahtā hai
chaman se duur rah ke phuul kab shādāb rahtā hai
añdhere aur ujāle kī kahānī sirf itnī hai
jahāñ mahbūb rahtā hai vahīñ mahtāb rahtā hai
muqaddar meñ likhā kar laa.e haiñ ham boriyā lekin
tasavvur meñ hamesha resham-o-kam-ḳhvāb rahtā hai
hazāroñ bastiyāñ aa jā.eñgī tūfān kī zad meñ
mirī āñkhoñ meñ ab aañsū nahīñ sailāb rahtā hai
bhale lagte haiñ schōloñ kī uniform meñ bachche
kañval ke phuul se jaise bharā tālāb rahtā hai
ye bāzār-e-havas hai tum yahāñ kaise chale aa.e
ye sone kī dukāneñ haiñ yahāñ tezāb rahtā hai
hamārī har pareshānī inhī logoñ ke dam se hai
hamāre saath ye jo halqa-e-ahbāb rahtā hai
baḌī mushkil se aate haiñ samajh meñ lucknow vaale
diloñ meñ fāsle lab par magar ādāb rahtā hai
juda rahta hun main tujh se to dil be-tab rahta hai
chaman se dur rah ke phul kab shadab rahta hai
andhere aur ujale ki kahani sirf itni hai
jahan mahbub rahta hai wahin mahtab rahta hai
muqaddar mein likha kar lae hain hum boriya lekin
tasawwur mein hamesha resham-o-kam-KHwab rahta hai
hazaron bastiyan aa jaengi tufan ki zad mein
meri aankhon mein ab aansu nahin sailab rahta hai
bhale lagte hain schoolon ki uniform mein bachche
kanwal ke phul se jaise bhara talab rahta hai
ye bazar-e-hawas hai tum yahan kaise chale aae
ye sone ki dukanen hain yahan tezab rahta hai
hamari har pareshani inhi logon ke dam se hai
hamare sath ye jo halqa-e-ahbab rahta hai
baDi mushkil se aate hain samajh mein lucknow wale
dilon mein fasle lab par magar aadab rahta hai
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 108)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.