jo tum se pahle aae the unki karistani dekho
jo tum se pahle aa.e the un kī kāristānī dekho
gaañv se nikle ho to ab shahroñ kī vīrānī dekho
sote meñ marne kā mauqa.a mil jaatā hai sab logoñ ko
phir bhī zinda uTh jaate haiñ logoñ kī nādānī dekho
rokoge to phaT jā.ūñgā yaaro tum bas itnā karnā
kuchh mat kahnā mujh se jab merī āñkhoñ meñ paanī dekho
sātoñ aalam sar karne ke ba.ad ik din kī chhuTTī le kar
ghar meñ chiḌiyoñ ke gaane par bachchoñ kī hairānī dekho
itne fir.aunoñ ko māroge to kyā tum bach jāoge
mūsā-jī ye ġhussa chhoḌo aur apnī āsānī dekho
jo tum se pahle aae the un ki karistani dekho
ganw se nikle ho to ab shahron ki virani dekho
sote mein marne ka mauqa mil jata hai sab logon ko
phir bhi zinda uTh jate hain logon ki nadani dekho
rokoge to phaT jaunga yaro tum bas itna karna
kuchh mat kahna mujh se jab meri aankhon mein pani dekho
saton aalam sar karne ke baad ek din ki chhuTTi le kar
ghar mein chiDiyon ke gane par bachchon ki hairani dekho
itne firaunon ko maroge to kya tum bach jaoge
musa-ji ye ghussa chhoDo aur apni aasani dekho
- Book : kharaaj-e-dostaan (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.