jo dil ne kahi lab pe kahan aai hai dekho
jo dil ne kahī lab pe kahāñ aa.ī hai dekho
ab mahfil yārāñ meñ bhī tanhā.ī hai dekho
phūloñ se havā bhī kabhī ghabrā.ī hai dekho
ġhunchoñ se bhī shabnam kabhī katrā.ī hai dekho
ab zauq-e-talab vaj.h-e-junūñ Thair gayā hai
aur arz-e-vafā bā.is-e-rusvā.ī hai dekho
ġham apne hī ashkoñ kā ḳharīdār huā hai
dil apnī hī hālat kā tamāshā.ī hai dekho
jo dil ne kahi lab pe kahan aai hai dekho
ab mahfil yaran mein bhi tanhai hai dekho
phulon se hawa bhi kabhi ghabrai hai dekho
ghunchon se bhi shabnam kabhi katrai hai dekho
ab zauq-e-talab wajh-e-junun Thair gaya hai
aur arz-e-wafa bais-e-ruswai hai dekho
gham apne hi ashkon ka KHaridar hua hai
dil apni hi haalat ka tamashai hai dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.