jo dekhe the jadu tere hat ke
jo dekhe the jaadū tire haat ke
haiñ charche abhī tak isī baat ke
ghaTā dekh kar ḳhush huiiñ laḌkiyāñ
chhatoñ par khile phuul barsāt ke
mujhe dard dil kā vahāñ le gayā
jahāñ dar khule the tilismāt ke
havā jab chalī phaḌphaḌā kar uḌe
parinde purāne mahallāt ke
na tū hai kahīñ aur na maiñ huuñ kahīñ
ye sab silsile haiñ ḳhayālāt ke
'munīr' aa rahī hai ghaḌī vasl kī
zamāne ga.e hijr kī raat ke
jo dekhe the jadu tere hat ke
hain charche abhi tak isi baat ke
ghaTa dekh kar KHush huin laDkiyan
chhaton par khile phul barsat ke
mujhe dard dil ka wahan le gaya
jahan dar khule the tilismat ke
hawa jab chali phaDphaDa kar uDe
parinde purane mahallat ke
na tu hai kahin aur na main hun kahin
ye sab silsile hain KHayalat ke
'munir' aa rahi hai ghaDi wasl ki
zamane gae hijr ki raat ke
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.