jitni hum chahte the utni mohabbat nahin di
jitnī ham chāhte the utnī mohabbat nahīñ dī
ḳhvāb to de diye us ne hameñ mohlat nahīñ dī
biktā rahtā sar-e-bāzār ka.ī qistoñ meñ
shukr hai mere ḳhudā ne mujhe shohrat nahīñ dī
us kī ḳhāmoshī mirī raah meñ aa baiThī hai
maiñ chalā jaatā magar us ne ijāzat nahīñ dī
ham tire saath tire jaisā ravayya rakhte
dene vaale ne magar aisī tabī.at nahīñ dī
mujh se jo tañg huā maiñ ne use chhoḌ diyā
us ko ḳhud chhoḌ ke jaane kī bhī zahmat nahīñ dī
ham the mohtāt ta.alluq meñ tavāzun rakkhā
pās-e-ulfat rahā had-darja aqīdat nahīñ dī
jis qadar TuuT ke chāhā use ham ne 'ashfāq'
us saḳhī ne hameñ utnī bhī to nafrat nahīñ dī
jitni hum chahte the utni mohabbat nahin di
KHwab to de diye us ne hamein mohlat nahin di
bikta rahta sar-e-bazar kai qiston mein
shukr hai mere KHuda ne mujhe shohrat nahin di
us ki KHamoshi meri rah mein aa baiThi hai
main chala jata magar us ne ijazat nahin di
hum tere sath tere jaisa rawayya rakhte
dene wale ne magar aisi tabiat nahin di
mujh se jo tang hua main ne use chhoD diya
us ko KHud chhoD ke jaane ki bhi zahmat nahin di
hum the mohtat talluq mein tawazun rakkha
pas-e-ulfat raha had-darja aqidat nahin di
jis qadar TuT ke chaha use hum ne 'ashfaq'
us saKHi ne hamein utni bhi to nafrat nahin di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.