jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi
jis se ye tabī.at baḌī mushkil se lagī thī
dekhā to vo tasvīr har ik dil se lagī thī
tanhā.ī meñ rote haiñ ki yuuñ dil ko sukūñ ho
ye choT kisī sāhab-e-mahfil se lagī thī
ai dil tire āshob ne phir hashr jagāyā
bedard abhī aañkh bhī mushkil se lagī thī
ḳhilqat kā ajab haal thā us kū-e-sitam meñ
saa.e kī tarah dāman-e-qātil se lagī thī
utrā bhī to kab dard kā chaḌhtā huā dariyā
jab kashtī-e-jāñ maut ke sāhil se lagī thī
jis se ye tabiat baDi mushkil se lagi thi
dekha to wo taswir har ek dil se lagi thi
tanhai mein rote hain ki yun dil ko sukun ho
ye choT kisi sahab-e-mahfil se lagi thi
ai dil tere aashob ne phir hashr jagaya
bedard abhi aankh bhi mushkil se lagi thi
KHilqat ka ajab haal tha us ku-e-sitam mein
sae ki tarah daman-e-qatil se lagi thi
utra bhi to kab dard ka chaDhta hua dariya
jab kashti-e-jaan maut ke sahil se lagi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.