jis kā tujh sā habīb hovegā
kaun us kā raqīb hovegā
be-vatan be-rafīq be-asbāb
kaun aisā ġharīb hovegā
dard-e-dil kī davā ho jis ke paas
koī aisā tabīb hovegā
mil rahegā kabhī tū duniyā meñ
gar hamārā nasīb hovegā
'soz' ko vo milā.egā tujh se
jo ḳhudā kā habīb hovegā
jis ka tujh sa habib howega
kaun us ka raqib howega
be-watan be-rafiq be-asbab
kaun aisa gharib howega
dard-e-dil ki dawa ho jis ke pas
koi aisa tabib howega
mil rahega kabhi tu duniya mein
gar hamara nasib howega
'soz' ko wo milaega tujh se
jo KHuda ka habib howega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.