jin ki aankhon mein tha surur-e-ghazal
jin kī āñkhoñ meñ thā surūr-e-ġhazal
un ġhazāloñ kī yaad aatī hai
sādgī lā-javāb thī jin kī
un savāloñ kī yaad aatī hai
jaane vaale kabhī nahīñ aate
jaane vāloñ kī yaad aatī hai
'vajd' lutf-e-suḳhan mubārak ho
bā-kamāloñ kī yaad aatī hai
jin ki aankhon mein tha surur-e-ghazal
un ghazalon ki yaad aati hai
sadgi la-jawab thi jin ki
un sawalon ki yaad aati hai
jaane wale kabhi nahin aate
jaane walon ki yaad aati hai
'wajd' lutf-e-suKHan mubarak ho
ba-kamalon ki yaad aati hai
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 86)
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (sahityaa parkaashak maalbaara delhi)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.