jin ke aangan mein amiri ka shajar lagta hai
jin ke āñgan meñ amīrī kā shajar lagtā hai
un kā har aib zamāne ko hunar lagtā hai
chāñd taare mire qadmoñ meñ bichhe jaate haiñ
ye buzurgoñ kī duāoñ kā asar lagtā hai
maañ mujhe dekh ke nārāz na ho jaa.e kahīñ
sar pe āñchal nahīñ hotā hai to Dar lagtā hai
jin ke aangan mein amiri ka shajar lagta hai
un ka har aib zamane ko hunar lagta hai
chand tare mere qadmon mein bichhe jate hain
ye buzurgon ki duaon ka asar lagta hai
man mujhe dekh ke naraaz na ho jae kahin
sar pe aanchal nahin hota hai to Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.