jin dinon gham ziyaada hota hai
jin dinoñ ġham ziyāda hotā hai
aañkh meñ nam ziyāda hotā hai
kuchh to hassās ham ziyāda haiñ
kuchh vo barham ziyāda hotā hai
dard dil kā bhī koī Thiik nahīñ
ḳhud-baḳhud kam ziyāda hotā hai
sab se pahle unheñ jhukāte haiñ
jin meñ dam-ḳham ziyāda hotā hai
qais par zulm to huā 'bāsir'
phir bhī mātam ziyāda hotā hai
jin dinon gham ziyaada hota hai
aankh mein nam ziyaada hota hai
kuchh to hassas hum ziyaada hain
kuchh wo barham ziyaada hota hai
dard dil ka bhi koi Thik nahin
KHud-baKHud kam ziyaada hota hai
sab se pahle unhen jhukate hain
jin mein dam-KHam ziyaada hota hai
qais par zulm to hua 'basir'
phir bhi matam ziyaada hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.