jidhar ho zindagi mushkil udhar nahin aate
jidhar ho zindagī mushkil udhar nahīñ aate
ajal se pahle mire chāra-gar nahīñ aate
banā huā hai mirā shahr qatl-gāh koī
palaT ke maaoñ ke laḳht-e-jigar nahīñ aate
uThā.e apnoñ kī lāsheñ jo tum ho nauha-kunāñ
mire shahīd tumheñ kyuuñ nazar nahīñ aate
na intizār karo in kā ai azā-dāro
shahīd jaate haiñ jannat ko ghar nahīñ aate
maiñ nauhe kab nahīñ likhtā huuñ raftagāñ ke 'zafar'
kab ashk misl-e-hurūf-e-hunar nahīñ aate
jidhar ho zindagi mushkil udhar nahin aate
ajal se pahle mere chaara-gar nahin aate
bana hua hai mera shahr qatl-gah koi
palaT ke maon ke laKHt-e-jigar nahin aate
uThae apnon ki lashen jo tum ho nauha-kunan
mere shahid tumhein kyun nazar nahin aate
na intizar karo in ka ai aza-daro
shahid jate hain jannat ko ghar nahin aate
main nauhe kab nahin likhta hun raftagan ke 'zafar'
kab ashk misl-e-huruf-e-hunar nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.