jang jari hai KHandanon mein
jang jaarī hai ḳhāndānoñ meñ
ġhair mahfūz huuñ makānoñ meñ
lafz pathrā ga.e haiñ hoñToñ par
log kyā kah ga.e haiñ kānoñ meñ
raat ghar meñ thī sar-phirī āñdhī
sirf kāñTe haiñ phūl-dānoñ meñ
mā'badoñ kī ḳhabar nahīñ mujh ko
ḳhairiyat hai sharāb-ḳhānoñ meñ
ab sipar DhūñD koī apne liye
tiir kam rah ga.e kamānoñ meñ
nāḳhudā kyā ḳhudā rakhe mahfūz
vo havā.eñ haiñ bādbānoñ meñ
daal chunñe meñ haath ā.eñge
jitne kankar haiñ kār-ḳhānoñ meñ
DhūñDtā phir rahā huuñ ḳhālī haath
jaane kyā chiiz un dukānoñ meñ
jang jari hai KHandanon mein
ghair mahfuz hun makanon mein
lafz pathra gae hain honTon par
log kya kah gae hain kanon mein
raat ghar mein thi sar-phiri aandhi
sirf kanTe hain phul-danon mein
ma'badon ki KHabar nahin mujh ko
KHairiyat hai sharab-KHanon mein
ab sipar DhunD koi apne liye
tir kam rah gae kamanon mein
naKHuda kya KHuda rakhe mahfuz
wo hawaen hain baadbanon mein
dal chunne mein hath aaenge
jitne kankar hain kar-KHanon mein
DhunDta phir raha hun KHali hath
jaane kya chiz un dukanon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.