jalti bujhti hui aankhon mein sitare likkhe
jaltī bujhtī huī āñkhoñ meñ sitāre likkhe
baab likkhe nahīñ unvān to saare likkhe
manzar-e-ġham thā shafaq rañg kahāñ aks utrā
ḳhuun kā rañg likhā shaam ke pyāre likkhe
nazr-e-tūfān hue saare safīnoñ ke charāġh
vo añdhere jo nigāhoñ ne sahāre likkhe
paikar-e-sabr-o-razā vāqif-e-ramz-e-hastī
dast-e-lamhāt ne yuuñ naam hamāre likkhe
āgahī ne diye ib.hām ke dhoke kyā kyā
sharh-e-alfāz jo likkhī to ishāre likkhe
jalti bujhti hui aankhon mein sitare likkhe
bab likkhe nahin unwan to sare likkhe
manzar-e-gham tha shafaq rang kahan aks utra
KHun ka rang likha sham ke pyare likkhe
nazr-e-tufan hue sare safinon ke charagh
wo andhere jo nigahon ne sahaare likkhe
paikar-e-sabr-o-raza waqif-e-ramz-e-hasti
dast-e-lamhat ne yun nam hamare likkhe
aagahi ne diye ibham ke dhoke kya kya
sharh-e-alfaz jo likkhi to ishaare likkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.