jahan KHarab sahi hum badan-darida sahi
jahāñ ḳharāb sahī ham badan-darīda sahī
tirī talāsh meñ nikle haiñ pā-burīda sahī
jahān-e-sher meñ merī ka.ī riyāsateñ haiñ
maiñ apne shahr meñ gumnām o nā-shunīda sahī
bhale hī chhāñv na de aasrā to detā hai
ye aarzū kā shajar hai ḳhizāñ-rasīda sahī
inhī bujhī huī āñkhoñ meñ ḳhvāb utreñge
yaqīñ na chhoḌ ye bīmār o shab-guzīda sahī
diloñ ko joḌne vaalī ġhazal salāmat hai
ta.alluqāt hamāre bhale kashīda sahī
jahan KHarab sahi hum badan-darida sahi
teri talash mein nikle hain pa-burida sahi
jahan-e-sher mein meri kai riyasaten hain
main apne shahr mein gumnam o na-shunida sahi
bhale hi chhanw na de aasra to deta hai
ye aarzu ka shajar hai KHizan-rasida sahi
inhi bujhi hui aankhon mein KHwab utrenge
yaqin na chhoD ye bimar o shab-guzida sahi
dilon ko joDne wali ghazal salamat hai
talluqat hamare bhale kashida sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.