jahan-e-ghuncha-e-dil ka faqat chaTakna tha
jahān-e-ġhuncha-e-dil kā faqat chaTaknā thā
usī kī bū-e-pareshāñ vajūd-e-duniyā thā
ye kah ke kal koī be-iḳhtiyār rotā thā
vo ik nigāh sahī kyuuñ kisī ko dekhā thā
tanābeñ kūcha-e-qātil kī khiñchtī jaatī thiiñ
shahīd-e-teġh-e-adā meñ bhī zor kitnā thā
bas ik jhalak nazar aa.ī uḌe kalīm ke hosh
bas ik nigāh huī ḳhaak tūr-e-sīnā thā
har ik ke haath faqat ġhaflateñ thiiñ hosh-numā
ki apne aap se begāna-vār jiinā thā
yahī huā ki fareb-e-umīd-o-yās miTe
vo pā ga.e tire hāthoñ hameñ jo paanā thā
chaman meñ ġhuncha-e-gul khilkhilā ke murjhā.e
yahī vo the jinheñ hañs hañs ke jaan denā thā
nigāh-e-mehr meñ jis kī haiñ sad payām-e-fanā
usī kā ālam-e-ījād-o-nāz bejā thā
jahāñ tū jalva-numā thā laraztī thī duniyā
tire jamāl se kaisā jalāl paidā thā
hayāt-o-marg ke kuchh raaz khul ga.e hoñge
fasāna-e-shab-e-ġham varna dosto kyā thā
shab-e-adam kā fasāna gudāz sham-e-hayāt
sivā.e kaif-e-fanā merā mājrā kyā thā
kuchh aisī baat na thī terā duur ho jaanā
ye aur baat ki rah rah ke dard uThtā thā
na pūchh sūd-o-ziyāñ kārobār-e-ulfat ke
vagarna yuuñ to na paanā thā kuchh na khotā thā
lagāvTeñ vo tire husn-e-be-niyāz kī aah
maiñ terī bazm se jab nā-umīd uTThā thā
tujhe ham ai dil-e-dard-āshnā kahāñ DhūñDeñ
ham apne hosh meñ kab the koī jab uTThā thā
adam kā raaz sadā-e-shikast sāz-e-hayāt
hijāb-e-zīst bhī kitnā latīf pardā thā
ye iztirāb-o-sukūñ bhī thī ik fareb-e-hayāt
ki apne haal se begāna-vār jiinā thā
kahāñ pe chuuk huī tere be-qarāroñ se
zamāna dūsrī karvaT badalne vaalā thā
ye koī yaad hai ye bhī hai koī mahviyyat
tire ḳhayāl meñ tujh ko bhī bhuul jaanā thā
kahāñ kī choT ubhar aa.ī husn-e-tābāñ meñ
dam-e-nazāra vo ruḳh dard sā chamaktā thā
na pūchh ramz-o-kināyāt chashm-e-sāqī ke
bas ek hashr-e-ḳhamosh anjuman meñ barpā thā
chaman chaman thī gul-e-dāġh-e-ishq se hastī
usī kī nik.hat-e-barbād kā zamāna thā
vo thā mirā dil-e-ḳhūñ-gashta jis ke miTne se
bahār-e-bāġha-e-jināñ thī vajūd-e-duniyā thā
qasam hai bāda-kasho chashm-e-mast-e-sāqī kī
batāo haath se kyā jām-e-mai sañbhaltā thā
visāl us se maiñ chāhūñ kahāñ ye dil merā
ye ro rahā huuñ ki kyuuñ us ko maiñ ne dekhā thā
umiid yaas banī yaas phir umiid banī
us ik nazar meñ fareb-e-nigāh kitnā thā
ye soz-o-sāz-e-nihāñ thā vo soz-o-sāz-e-ayāñ
visāl-o-hijr meñ bas farq thā to itnā thā
shikast-e-sāz-e-chaman thī bahār-e-lāla-o-gul
ḳhizāñ machaltī thī ġhuncha jahāñ chaTaktā thā
har ek saañs hai tajdīd-e-yād-e-ayyāmī
guzar gayā vo zamāna jise guzarnā thā
na koī va.ada na koī yaqīñ na koī umiid
magar hameñ to tirā intizār karnā thā
kisī ke sabr ne be-sabr kar diyā sab ko
'firāq' naza.a meñ karvaT koī badaltā thā
jahan-e-ghuncha-e-dil ka faqat chaTakna tha
usi ki bu-e-pareshan wajud-e-duniya tha
ye kah ke kal koi be-iKHtiyar rota tha
wo ek nigah sahi kyun kisi ko dekha tha
tanaben kucha-e-qatil ki khinchti jati thin
shahid-e-tegh-e-ada mein bhi zor kitna tha
bas ek jhalak nazar aai uDe kalim ke hosh
bas ek nigah hui KHak tur-e-sina tha
har ek ke hath faqat ghaflaten thin hosh-numa
ki apne aap se begana-war jina tha
yahi hua ki fareb-e-umid-o-yas miTe
wo pa gae tere hathon hamein jo pana tha
chaman mein ghuncha-e-gul khilkhila ke murjhae
yahi wo the jinhen hans hans ke jaan dena tha
nigah-e-mehr mein jis ki hain sad payam-e-fana
usi ka aalam-e-ijad-o-naz beja tha
jahan tu jalwa-numa tha larazti thi duniya
tere jamal se kaisa jalal paida tha
hayat-o-marg ke kuchh raaz khul gae honge
fasana-e-shab-e-gham warna dosto kya tha
shab-e-adam ka fasana gudaz sham-e-hayat
siwae kaif-e-fana mera majra kya tha
kuchh aisi baat na thi tera dur ho jaana
ye aur baat ki rah rah ke dard uThta tha
na puchh sud-o-ziyan karobar-e-ulfat ke
wagarna yun to na pana tha kuchh na khota tha
lagawTen wo tere husn-e-be-niyaz ki aah
main teri bazm se jab na-umid uTTha tha
tujhe hum ai dil-e-dard-ashna kahan DhunDen
hum apne hosh mein kab the koi jab uTTha tha
adam ka raaz sada-e-shikast saz-e-hayat
hijab-e-zist bhi kitna latif parda tha
ye iztirab-o-sukun bhi thi ek fareb-e-hayat
ki apne haal se begana-war jina tha
kahan pe chuk hui tere be-qararon se
zamana dusri karwaT badalne wala tha
ye koi yaad hai ye bhi hai koi mahwiyyat
tere KHayal mein tujh ko bhi bhul jaana tha
kahan ki choT ubhar aai husn-e-taban mein
dam-e-nazara wo ruKH dard sa chamakta tha
na puchh ramz-o-kinayat chashm-e-saqi ke
bas ek hashr-e-KHamosh anjuman mein barpa tha
chaman chaman thi gul-e-dagh-e-ishq se hasti
usi ki nikhat-e-barbaad ka zamana tha
wo tha mera dil-e-KHun-gashta jis ke miTne se
bahaar-e-bagha-e-jinan thi wajud-e-duniya tha
qasam hai baada-kasho chashm-e-mast-e-saqi ki
batao hath se kya jam-e-mai sanbhalta tha
visal us se main chahun kahan ye dil mera
ye ro raha hun ki kyun us ko main ne dekha tha
umid yas bani yas phir umid bani
us ek nazar mein fareb-e-nigah kitna tha
ye soz-o-saz-e-nihan tha wo soz-o-saz-e-ayan
visal-o-hijr mein bas farq tha to itna tha
shikast-e-saz-e-chaman thi bahaar-e-lala-o-gul
KHizan machalti thi ghuncha jahan chaTakta tha
har ek sans hai tajdid-e-yaad-e-ayyami
guzar gaya wo zamana jise guzarna tha
na koi wada na koi yaqin na koi umid
magar hamein to tera intizar karna tha
kisi ke sabr ne be-sabr kar diya sab ko
'firaq' naza mein karwaT koi badalta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.