mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
mujhe apne zabt pe naaz thā sar-e-bazm raat ye kyā huā
mirī aañkh kaise chhalak ga.ī mujhe rañj hai ye burā huā
mirī zindagī ke charāġh kā ye mizāj koī nayā nahīñ
abhī raushnī abhī tīrgī na jalā huā na bujhā huā
mujhe jo bhī dushman-e-jāñ milā vahī puḳhta-kār-e-jafā milā
na kisī kī zarb ġhalat paḌī na kisī kā tiir ḳhatā huā
mujhe aap kyuuñ na samajh sake ye ḳhud apne dil hī se pūchhiye
mirī dāstān-e-hayāt kā to varaq varaq hai khulā huā
jo nazar bachā ke guzar ga.e mire sāmne se abhī abhī
ye mire hī shahr ke log the mire ghar se ghar hai milā huā
hameñ is kā koī bhī haq nahīñ ki sharīk-e-bazm-e-ḳhulūs hoñ
na hamāre paas naqāb hai na kuchh āstīñ meñ chhupā huā
mujhe ik galī meñ paḌā huā kisī bad-nasīb kā ḳhat milā
kahīñ ḳhūn-e-dil se likhā huā kahīñ āñsuoñ se miTā huā
mujhe ham-safar bhī milā koī to shikasta-hāl mirī tarah
ka.ī manziloñ kā thakā huā kahīñ rāstoñ meñ luTā huā
hameñ apne ghar se chale hue sar-e-rāh umr guzar ga.ī
koī justujū kā sila milā na safar kā haq hī adā huā
mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
meri aankh kaise chhalak gai mujhe ranj hai ye bura hua
meri zindagi ke charagh ka ye mizaj koi naya nahin
abhi raushni abhi tirgi na jala hua na bujha hua
mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila wahi puKHta-kar-e-jafa mila
na kisi ki zarb ghalat paDi na kisi ka tir KHata hua
mujhe aap kyun na samajh sake ye KHud apne dil hi se puchhiye
meri dastan-e-hayat ka to waraq waraq hai khula hua
jo nazar bacha ke guzar gae mere samne se abhi abhi
ye mere hi shahr ke log the mere ghar se ghar hai mila hua
hamein is ka koi bhi haq nahin ki sharik-e-bazm-e-KHulus hon
na hamare pas naqab hai na kuchh aastin mein chhupa hua
mujhe ek gali mein paDa hua kisi bad-nasib ka KHat mila
kahin KHun-e-dil se likha hua kahin aansuon se miTa hua
mujhe ham-safar bhi mila koi to shikasta-haal meri tarah
kai manzilon ka thaka hua kahin raston mein luTa hua
hamein apne ghar se chale hue sar-e-rah umr guzar gai
koi justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 21.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.