jab usko dekhte rahne se thakne lagta hun
jab us ko dekhte rahne se thakne lagtā huuñ
to apne ḳhvāb kī palkeñ jhapakne lagtā huuñ
jise bhī pyaas bujhānī ho mere paas rahe
kabhī bhī apne laboñ se chhalakne lagtā huuñ
havā-e-hijr dikhātī hai sabz bāġh-e-visāl
to bāġh-e-vahm meñ apne mahakne lagtā huuñ
chhiḌaknī paḌtī hai ḳhud par kisī badan kī aag
maiñ apnī aag meñ jab bhī dahakne lagtā huuñ
maiñ ḳhud ko chakh nahīñ paatā ki toḌ letī hai
mujhe havā-e-ḳhizāñ jab bhī pakne lagtā huuñ
badan kī kaan se hiire nikalne lagte haiñ
maiñ apnī raat meñ aksar chamakne lagtā huuñ
vo ek manzar-e-nāpaid hai ki jis ke liye
maiñ aañkh hone kī ḳhātir phaḌakne lagtā huuñ
parinde bolne lagte haiñ mujh meñ raat ga.e
to shāḳh-e-sher pe maiñ bhī chahakne lagtā huuñ
jo kār-nāma kabhī koī mujh se ho jaa.e
to apnī piiTh maiñ ḳhud hī thapakne lagtā huuñ
sunāne lagtā hai ash.ār-e-ishq jab 'ehsās'
maiñ us ke sāmne dil sā dhaḌakne lagtā huuñ
jab us ko dekhte rahne se thakne lagta hun
to apne KHwab ki palken jhapakne lagta hun
jise bhi pyas bujhani ho mere pas rahe
kabhi bhi apne labon se chhalakne lagta hun
hawa-e-hijr dikhati hai sabz bagh-e-visal
to bagh-e-wahm mein apne mahakne lagta hun
chhiDakni paDti hai KHud par kisi badan ki aag
main apni aag mein jab bhi dahakne lagta hun
main KHud ko chakh nahin pata ki toD leti hai
mujhe hawa-e-KHizan jab bhi pakne lagta hun
badan ki kan se hire nikalne lagte hain
main apni raat mein aksar chamakne lagta hun
wo ek manzar-e-napaid hai ki jis ke liye
main aankh hone ki KHatir phaDakne lagta hun
parinde bolne lagte hain mujh mein raat gae
to shaKH-e-sher pe main bhi chahakne lagta hun
jo kar-nama kabhi koi mujh se ho jae
to apni piTh main KHud hi thapakne lagta hun
sunane lagta hai ashaar-e-ishq jab 'ehsas'
main us ke samne dil sa dhaDakne lagta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.