jab tera hukm mila tark mohabbat kar di
jab tirā hukm milā tark mohabbat kar dī
dil magar is pe vo dhaḌkā ki qayāmat kar dī
tujh se kis tarah maiñ iz.hār-e-tamannā kartā
lafz sūjhā to muānī ne baġhāvat kar dī
maiñ to samjhā thā ki lauT aate haiñ jaane vaale
tū ne jā kar to judā.ī mirī qismat kar dī
tujh ko puujā hai ki asnām-parastī kī hai
maiñ ne vahdat ke mafāhīm kī kasrat kar dī
mujh ko dushman ke irādoñ pe bhī pyaar aatā hai
tirī ulfat ne mohabbat mirī aadat kar dī
pūchh baiThā huuñ maiñ tujh se tire kūche kā pata
tere hālāt ne kaisī tirī sūrat kar dī
kyā tirā jism tire husn kī hiddat meñ jalā
raakh kis ne tirī sone kī sī rañgat kar dī
jab tera hukm mila tark mohabbat kar di
dil magar is pe wo dhaDka ki qayamat kar di
tujh se kis tarah main izhaar-e-tamanna karta
lafz sujha to muani ne baghawat kar di
main to samjha tha ki lauT aate hain jaane wale
tu ne ja kar to judai meri qismat kar di
tujh ko puja hai ki asnam-parasti ki hai
main ne wahdat ke mafahim ki kasrat kar di
mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai
teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di
puchh baiTha hun main tujh se tere kuche ka pata
tere haalat ne kaisi teri surat kar di
kya tera jism tere husn ki hiddat mein jala
rakh kis ne teri sone ki si rangat kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.