jab tak apne dil mein un ka gham raha
jab tak apne dil meñ un kā ġham rahā
hasratoñ kā raat din mātam rahā
hijr meñ dil kā na thā sāthī koī
dard uTh uTh kar sharīk-e-ġham rahā
kar ke dafn apne parā.e chal diye
bekasī kā qabr par mātam rahā
saikḌoñ sar tan se kar Daale judā
un ke ḳhanjar kā vahī dam-ḳham rahā
aaj ik shor-e-qayāmat thā bapā
tere kushto kā ajab aalam rahā
hasrateñ mil mil ke rotīñ yaas se
yuuñ dil-e-marhūm kā mātam rahā
le gayā tā kū-e-yār 'ahsan' vahī
mudda.ī kab dostoñ se kam rahā
jab tak apne dil mein un ka gham raha
hasraton ka raat din matam raha
hijr mein dil ka na tha sathi koi
dard uTh uTh kar sharik-e-gham raha
kar ke dafn apne parae chal diye
bekasi ka qabr par matam raha
saikDon sar tan se kar Dale juda
un ke KHanjar ka wahi dam-KHam raha
aaj ek shor-e-qayamat tha bapa
tere kushto ka ajab aalam raha
hasraten mil mil ke rotin yas se
yun dil-e-marhum ka matam raha
le gaya ta ku-e-yar 'ahsan' wahi
muddai kab doston se kam raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.