jab se usne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua
jab se us ne shahr ko chhoḌā har rasta sunsān huā
apnā kyā hai saare shahr kā ik jaisā nuqsān huā
ye dil ye aaseb kī nagrī maskan sochūñ vahmoñ kā
soch rahā huuñ is nagrī meñ tū kab se mehmān huā
sahrā kī muñh-zor havā.eñ auroñ se mansūb huiiñ
muft meñ ham āvāra Thahre muft meñ ghar vīrān huā
mere haal pe hairat kaisī dard ke tanhā mausam meñ
patthar bhī ro paḌte haiñ insān to phir insān huā
itnī der meñ ujḌe dil par kitne mahshar biit ga.e
jitnī der meñ tujh ko pā kar khone kā imkān huā
kal tak jis ke gird thā raqsāñ ik amboh sitāroñ kā
aaj usī ko tanhā pā kar maiñ to bahut hairān huā
us ke zaḳhm chhupā kar rakhiye ḳhud us shaḳhs kī nazroñ se
us se kaisā shikva kiije vo to abhī nādān huā
jin ashkoñ kī phīkī lau ko ham be-kār samajhte the
un ashkoñ se kitnā raushan ik tārīk makān huā
yuuñ bhī kam-āmez thā 'mohsin' vo is shahr ke logoñ meñ
lekin mere sāmne aa kar aur bhī kuchh anjān huā
jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua
apna kya hai sare shahr ka ek jaisa nuqsan hua
ye dil ye aaseb ki nagri maskan sochun wahmon ka
soch raha hun is nagri mein tu kab se mehman hua
sahra ki munh-zor hawaen auron se mansub huin
muft mein hum aawara Thahre muft mein ghar viran hua
mere haal pe hairat kaisi dard ke tanha mausam mein
patthar bhi ro paDte hain insan to phir insan hua
itni der mein ujDe dil par kitne mahshar bit gae
jitni der mein tujh ko pa kar khone ka imkan hua
kal tak jis ke gird tha raqsan ek amboh sitaron ka
aaj usi ko tanha pa kar main to bahut hairan hua
us ke zaKHm chhupa kar rakhiye KHud us shaKHs ki nazron se
us se kaisa shikwa kije wo to abhi nadan hua
jin ashkon ki phiki lau ko hum be-kar samajhte the
un ashkon se kitna raushan ek tarik makan hua
yun bhi kam-amez tha 'mohsin' wo is shahr ke logon mein
lekin mere samne aa kar aur bhi kuchh anjaan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.