jab retile ho jate hain
jab retīle ho jaate haiñ
parvat Tiile ho jaate haiñ
toḌe jaate haiñ jo shīshe
vo nokīle ho jaate haiñ
baaġh dhueñ meñ rahtā hai to
phal zahrīle ho jaate haiñ
nādārī meñ āġhoshoñ ke
bandhan Dhīle ho jaate haiñ
phūloñ ko surḳhī dene meñ
patte piile ho jaate haiñ
jab retile ho jate hain
parwat Tile ho jate hain
toDe jate hain jo shishe
wo nokile ho jate hain
bagh dhuen mein rahta hai to
phal zahrile ho jate hain
nadari mein aaghoshon ke
bandhan Dhile ho jate hain
phulon ko surKHi dene mein
patte pile ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.