jab kabhi nam-e-mohamad lab pe mere aae hai
jab kabhī nām-e-mohamād lab pe mere aa.e hai
lab se lab milte haiñ jaise dil se dil mil jaa.e hai
jab koī ġhuncha chaman kā bin khile murjhā.e hai
kyā kaheñ kyā kyā chaman vāloñ ko ronā aa.e hai
koī kah detā ki ab kaahe ko qāsid aa.e hai
zo.af se bīmār ko uTThā na baiThā jaa.e hai
ho na ho kuchh baat hai tab jī mirā ghabrā.e hai
aap aa.e haiñ na ḳhat hī bhej kar bulvā.e hai
raat bhī rote kaTī hai din bhī guzrā jaa.e hai
aane vaale kuchh nahīñ ma.alūm kab se aa.e hai
tere dīvāne pe aisī bhī ghaḌī aa jaa.e hai
dam-ba-ḳhud rah jaa.e hai sochā na samjhā jaa.e hai
ek din vo din the rone pe hañsā karte the ham
ek ye din haiñ ki ab hañsne pe ronā aa.e hai
barq ko kyā jaane kyā zid hai nasheman se mire
chaar tinkoñ kī qasam vo bhī na dekhā jaa.e hai
hijr kī rātoñ meñ bhī tanhā kahāñ rahtā hai zehn
tum kabhī aa jaao ho, dushman kabhī aa jaa.e hai
jī meñ rakhte haiñ kaheñ bhī to kisī se kyā kaheñ
shikva un kā yuuñ to lab par baar baar aa jaa.e hai
bigḌī ban jaatī hai, ye sach hai magar ai ham-nashīñ
nā-murādī kā burā ho, jī hī baiThā jaa.e hai
ik ġhalat sajde se kyā hotā hai vaa.iz kuchh na pūchh
umr bhar kī sab riyāzat ḳhaak meñ mil jaa.e hai
aap kī ik zulf suljhāne ko lākhoñ haath haiñ
merī gutthī bhī koī aa kar kabhī suljhā.e hai
jab kabhi nam-e-mohamad lab pe mere aae hai
lab se lab milte hain jaise dil se dil mil jae hai
jab koi ghuncha chaman ka bin khile murjhae hai
kya kahen kya kya chaman walon ko rona aae hai
koi kah deta ki ab kahe ko qasid aae hai
zoaf se bimar ko uTTha na baiTha jae hai
ho na ho kuchh baat hai tab ji mera ghabrae hai
aap aae hain na KHat hi bhej kar bulwae hai
raat bhi rote kaTi hai din bhi guzra jae hai
aane wale kuchh nahin malum kab se aae hai
tere diwane pe aisi bhi ghaDi aa jae hai
dam-ba-KHud rah jae hai socha na samjha jae hai
ek din wo din the rone pe hansa karte the hum
ek ye din hain ki ab hansne pe rona aae hai
barq ko kya jaane kya zid hai nasheman se mere
chaar tinkon ki qasam wo bhi na dekha jae hai
hijr ki raaton mein bhi tanha kahan rahta hai zehn
tum kabhi aa jao ho, dushman kabhi aa jae hai
ji mein rakhte hain kahen bhi to kisi se kya kahen
shikwa un ka yun to lab par bar bar aa jae hai
bigDi ban jati hai, ye sach hai magar ai ham-nashin
na-muradi ka bura ho, ji hi baiTha jae hai
ek ghalat sajde se kya hota hai waiz kuchh na puchh
umr bhar ki sab riyazat KHak mein mil jae hai
aap ki ek zulf suljhane ko lakhon hath hain
meri gutthi bhi koi aa kar kabhi suljhae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.