jab kabhi bolna waqt par bolna
jab kabhī bolnā vaqt par bolnā
muddatoñ sochnā muḳhtasar bolnā
Daal degā halākat meñ ik din tujhe
ai parinde tirā shāḳh par bolnā
pahle kuchh duur tak saath chal ke parakh
phir mujhe ham-safar ham-safar bolnā
umr-bhar ko mujhe be-sadā kar gayā
terā ik baar muñh pher kar bolnā
merī ḳhāna-badoshī se pūchhe koī
kitnā mushkil hai raste ko ghar bolnā
umr-bhar tujh ko rakkhegā garm-e-safar
manziloñ ko tirā rahguzar bolnā
kyoñ hai ḳhāmosh sone kī chiḌiyā batā
lag ga.ī tujh ko kis kī nazar bol nā
jab kabhi bolna waqt par bolna
muddaton sochna muKHtasar bolna
Dal dega halakat mein ek din tujhe
ai parinde tera shaKH par bolna
pahle kuchh dur tak sath chal ke parakh
phir mujhe ham-safar ham-safar bolna
umr-bhar ko mujhe be-sada kar gaya
tera ek bar munh pher kar bolna
meri KHana-badoshi se puchhe koi
kitna mushkil hai raste ko ghar bolna
umr-bhar tujh ko rakkhega garm-e-safar
manzilon ko tera rahguzar bolna
kyon hai KHamosh sone ki chiDiya bata
lag gai tujh ko kis ki nazar bol na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.