jab bhī ye dil udaas hotā hai
jaane kaun ās-pās hotā hai
āñkheñ pahchāntī haiñ āñkhoñ ko
dard chehra-shanās hotā hai
go barastī nahīñ sadā āñkheñ
abr to bārah-mās hotā hai
chhāl peḌoñ kī saḳht hai lekin
nīche nāḳhun ke maas hotā hai
zaḳhm kahte haiñ dil kā gahna hai
dard dil kā libās hotā hai
Das hī letā hai sab ko ishq kabhī
saañp mauqa.a-shanās hotā hai
sirf itnā karam kiyā kiije
aap ko jitnā raas hotā hai
jab bhi ye dil udas hota hai
jaane kaun aas-pas hota hai
aankhen pahchanti hain aankhon ko
dard chehra-shanas hota hai
go barasti nahin sada aankhen
abr to barah-mas hota hai
chhaal peDon ki saKHt hai lekin
niche naKHun ke mas hota hai
zaKHm kahte hain dil ka gahna hai
dard dil ka libas hota hai
Das hi leta hai sab ko ishq kabhi
sanp mauqa-shanas hota hai
sirf itna karam kiya kije
aap ko jitna ras hota hai
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 174)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.