jaane wale se rabta rah jae
jaane vaale se rābta rah jaa.e
ghar kī dīvār par diyā rah jaa.e
ik nazar jo bhī dekh le tujh ko
vo tire ḳhvāb dekhtā rah jaa.e
itnī girheñ lagī haiñ is dil par
koī khole to kholtā rah jaa.e
koī kamre meñ aag tāptā ho
koī bārish meñ bhīgtā rah jaa.e
niiñd aisī ki raat kam paḌ jaa.e
ḳhvāb aisā ki muñh khulā rah jaa.e
jhiil saif-ul-mulūk par jā.ūñ
aur kamre meñ camera rah jaa.e
jaane wale se rabta rah jae
ghar ki diwar par diya rah jae
ek nazar jo bhi dekh le tujh ko
wo tere KHwab dekhta rah jae
itni girhen lagi hain is dil par
koi khole to kholta rah jae
koi kamre mein aag tapta ho
koi barish mein bhigta rah jae
nind aisi ki raat kam paD jae
KHwab aisa ki munh khula rah jae
jhil saif-ul-muluk par jaun
aur kamre mein camera rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.