jaane kitni uDan baqi hai
jaane kitnī uḌaan baaqī hai
is parinde meñ jaan baaqī hai
jitnī baTnī thī baT chukī ye zamīñ
ab to bas āsmān baaqī hai
ab vo duniyā ajiib lagtī hai
jis meñ amn-o-amān baaqī hai
imtihāñ se guzar ke kyā dekhā
ik nayā imtihān baaqī hai
sar qalam hoñge kal yahāñ un ke
jin ke muñh meñ zabān baaqī hai
jaane kitni uDan baqi hai
is parinde mein jaan baqi hai
jitni baTni thi baT chuki ye zamin
ab to bas aasman baqi hai
ab wo duniya ajib lagti hai
jis mein amn-o-aman baqi hai
imtihan se guzar ke kya dekha
ek naya imtihan baqi hai
sar qalam honge kal yahan un ke
jin ke munh mein zaban baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.