jam-e-tahi lahraya humne
jām-e-tahī lahrāyā ham ne
kaisā jashn manāyā ham ne
raat havā ke saath nikal kar
halqa-e-dar khaḌkāyā ham ne
chup galiyoñ meñ diiñ āvāzeñ
shahr meñ shor machāyā ham ne
ḳhaak the lekin lahar meñ aa kar
raqs-e-junūñ farmāyā ham ne
dekheñ kab hoñ ishq meñ kundan
raakh to kar dī kaayā ham ne
umr-e-sharar bekār na guzrī
pal bhar to chamkāyā ham ne
sab ko nishāna karte karte
ḳhud ko maar girāyā ham ne
tum se mile to ḳhud se ziyāda
tum ko akelā paayā ham ne
apne sar kī aan pe vaarī
paañv se lipTī maayā ham ne
ai shab-e-hijrāñ ab to ijāzat
itnā saath nibhāyā ham ne
jam-e-tahi lahraya hum ne
kaisa jashn manaya hum ne
raat hawa ke sath nikal kar
halqa-e-dar khaDkaya hum ne
chup galiyon mein din aawazen
shahr mein shor machaya hum ne
KHak the lekin lahar mein aa kar
raqs-e-junun farmaya hum ne
dekhen kab hon ishq mein kundan
rakh to kar di kaya hum ne
umr-e-sharar bekar na guzri
pal bhar to chamkaya hum ne
sab ko nishana karte karte
KHud ko mar giraya hum ne
tum se mile to KHud se ziyaada
tum ko akela paya hum ne
apne sar ki aan pe wari
panw se lipTi maya hum ne
ai shab-e-hijran ab to ijazat
itna sath nibhaya hum ne
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 60)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.