Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jag ke mere sath samundar raaten karta hai

Zeb Ghauri

jag ke mere sath samundar raaten karta hai

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    jaag ke mere saath samundar rāteñ kartā hai

    jab sab log chale jaa.eñ to bāteñ kartā hai

    shaam ko der se pahuñchūñ to lagtā hai ḳhafā mujh se

    mujh se bahut barham ho aisī ghāteñ kartā hai

    mere sivā shāyad us bhī koī dost nahīñ

    merī apnī jaane kyā kyā bāteñ kartā hai

    dil ġham se bojhal ho to dekho phir chheḌeñ us

    chhīñTe muñh pe maar ke kyā barsāteñ kartā hai

    aur bhī gahrī ho jaatī hai us sargoshī

    mujh se kisī āñkhoñ jab bāteñ kartā hai

    mujh ko motiyoñ se kyā lenā 'zeb' samundar bhī

    jaane kyā mire ashkoñ sauġhāteñ kartā hai

    jag ke mere sath samundar raaten karta hai

    jab sab log chale jaen to baaten karta hai

    sham ko der se pahunchun to lagta hai KHafa mujh se

    mujh se bahut barham ho aisi ghaten karta hai

    mere siwa shayad us ka bhi koi dost nahin

    meri apni jaane kya kya baaten karta hai

    dil gham se bojhal ho to dekho phir chheDen us ki

    chhinTe munh pe mar ke kya barsaten karta hai

    aur bhi gahri ho jati hai us ki sargoshi

    mujh se kisi ki aankhon ki jab baaten karta hai

    mujh ko motiyon se kya lena 'zeb' samundar bhi

    jaane kya mere ashkon ki saughaten karta hai

    Source :
    • Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 29)
    • Author :Zeb Ghauri
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now