itne aansu to na the dida-e-tar ke aage
itne aañsū to na the dīda-e-tar ke aage
ab to paanī hī bharā rahtā hai ghar ke aage
dam-ba-dam mujh ko tasavvur hai usī dilbar kā
raat din phirtā hai merī vo nazar ke aage
haiñ ye ai jaan mire dil se mujhe apne aziiz
tere dāġhoñ ko maiñ rakhtā huuñ jigar ke aage
garmī apnī ko farāmosh kareñ mahr-vishāñ
sard ho jaa.eñ sab us rashk-e-qamar ke aage
bād-e-tundī se miyāñ terī mujhe hairat hai
kyūñki rakhtā hai tapāñchoñ ko kamar ke aage
tere dāñtoñ se maiñ tashbīh na duuñ gauhar ko
puut ko qadr nahīñ silk-e-guhar ke aage
zor se kaam nikaltā nahīñ be zar ke diye
zar bhī harba hai tirā ek bashar ke aage
zar agar barsar-e-faulād nahīñ narm shuad
zor kā zor dharā rahtā hai zar ke aage
kis ko kahtā hai miyāñ yaañ se sarak yaañ se sarak
koī baiThā nahīñ aa kar tire dar ke aage
ye to majlis hai jahāñ baiTh ga.e baiTh ga.e
kyuuñ jagah badle koī kaahe ko sarke aage
ab kahāñ jaa.e 'hasan' hāthoñ se tere zālim
rakh liyā tū ne use teġh-o-sipar ke aage
itne aansu to na the dida-e-tar ke aage
ab to pani hi bhara rahta hai ghar ke aage
dam-ba-dam mujh ko tasawwur hai usi dilbar ka
raat din phirta hai meri wo nazar ke aage
hain ye ai jaan mere dil se mujhe apne aziz
tere daghon ko main rakhta hun jigar ke aage
garmi apni ko faramosh karen mahr-wishan
sard ho jaen sab us rashk-e-qamar ke aage
baad-e-tundi se miyan teri mujhe hairat hai
kyunki rakhta hai tapanchon ko kamar ke aage
tere danton se main tashbih na dun gauhar ko
put ko qadr nahin silk-e-guhar ke aage
zor se kaam nikalta nahin be zar ke diye
zar bhi harba hai tera ek bashar ke aage
zar agar barsar-e-faulad nahin narm shuad
zor ka zor dhara rahta hai zar ke aage
kis ko kahta hai miyan yan se sarak yan se sarak
koi baiTha nahin aa kar tere dar ke aage
ye to majlis hai jahan baiTh gae baiTh gae
kyun jagah badle koi kahe ko sarke aage
ab kahan jae 'hasan' hathon se tere zalim
rakh liya tu ne use tegh-o-sipar ke aage
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.