isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main
isī liye to yahāñ ab bhī ajnabī huuñ maiñ
tamām log farishte haiñ aadmī huuñ maiñ
za.iif būḌhī jo pul par udaas baiThī hai
usī kī aañkh meñ likkhā hai zindagī huuñ maiñ
hai pakkī umroñ kī ik be-zabān sī laḌkī
usī kā rishta huuñ aur vo bhī āḳhirī huuñ maiñ
tamām raat charāġhoñ meñ muskurātī thī
vo ab nahīñ hai magar us kī raushnī huuñ maiñ
kahīñ maiñ aur thā maġhrib kī jo azaañ na sunī
in āñsuoñ meñ sahar kī namāz bhī huuñ maiñ
sitāre raah ke haiñ 'mīr'-o-'ġhālib'-o-'iqbāl'
qalam huuñ bachche kā taḳhtī na.ī na.ī huuñ maiñ
agar vo chāheñ to zinda jalā bhī sakte haiñ
du'ā ke haath hukūmat kī bebasī huuñ maiñ
isi liye to yahan ab bhi ajnabi hun main
tamam log farishte hain aadmi hun main
zaif buDhi jo pul par udas baiThi hai
usi ki aankh mein likkha hai zindagi hun main
hai pakki umron ki ek be-zaban si laDki
usi ka rishta hun aur wo bhi aaKHiri hun main
tamam raat charaghon mein muskuraati thi
wo ab nahin hai magar us ki raushni hun main
kahin main aur tha maghrib ki jo azan na suni
in aansuon mein sahar ki namaz bhi hun main
sitare rah ke hain 'mir'-o-'ghaalib'-o-'iqbaal'
qalam hun bachche ka taKHti nai nai hun main
agar wo chahen to zinda jala bhi sakte hain
du'a ke hath hukumat ki bebasi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.