ishq ki gum-shuda manzilon mein gai
ishq kī gum-shuda manziloñ meñ ga.ī
zindagī lauT kar daldaloñ meñ ga.ī
yās-o-hasrat bharī be-amāñ zindagī
aas ke reshmī āñchaloñ meñ ga.ī
vo sadā jo fuġhāñ ban ke uTThī magar
ḳhāmushī ke ghane jañgaloñ meñ ga.ī
tum se ho kar judā yak-nafas dosto
zindagī marghaToñ daldaloñ meñ ga.ī
kaun jaane ki uḌtī huī dhuup bhī
kis taraf kaun sī manziloñ meñ ga.ī
sub.h-dam rañg nikhrā har ik shāḳh kā
raushnī shabnamī koñpaloñ meñ ga.ī
ishq ki gum-shuda manzilon mein gai
zindagi lauT kar daldalon mein gai
yas-o-hasrat bhari be-aman zindagi
aas ke reshmi aanchalon mein gai
wo sada jo fughan ban ke uTThi magar
KHamushi ke ghane jangalon mein gai
tum se ho kar juda yak-nafas dosto
zindagi marghaTon daldalon mein gai
kaun jaane ki uDti hui dhup bhi
kis taraf kaun si manzilon mein gai
subh-dam rang nikhra har ek shaKH ka
raushni shabnami konpalon mein gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.