is darja bad-guman hain KHulus-e-bashar se hum
is darja bad-gumāñ haiñ ḳhulūs-e-bashar se ham
apnoñ ko dekhte haiñ parā.ī nazar se ham
ġhunchoñ se pyaar kar ke ye izzat hameñ milī
chūme qadam bahār ne guzre jidhar se ham
vallāh tujh se tark-e-ta.alluq ke ba.ad bhī
aksar guzar ga.e haiñ tirī rah-guzar se ham
sidq-o-safā-e-qalb se mahrūm hai hayāt
karte haiñ bandagī bhī jahannam ke Dar se ham
uqbā meñ bhī milegī yahī zindagī 'shakīl'
mar kar na chhūT pā.eñge is dard-e-sar se ham
is darja bad-guman hain KHulus-e-bashar se hum
apnon ko dekhte hain parai nazar se hum
ghunchon se pyar kar ke ye izzat hamein mili
chume qadam bahaar ne guzre jidhar se hum
wallah tujh se tark-e-talluq ke baad bhi
aksar guzar gae hain teri rah-guzar se hum
sidq-o-safa-e-qalb se mahrum hai hayat
karte hain bandagi bhi jahannam ke Dar se hum
uqba mein bhi milegi yahi zindagi 'shakil'
mar kar na chhuT paenge is dard-e-sar se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.