is ada se mujhe salam kiya
is adā se mujhe salām kiyā
ek hī aan meñ ġhulām kiyā
le gayā nañg-o-nām ab mujh se
ishq ne āḳhir apnā kaam kiyā
yaaro us gul-badan ke ta.iiñ ham ne
kal sabā se yahī payām kiyā
ham se milte rahā karo pyāre
chaah meñ garche apnā naam kiyā
qissa-e-jāñ-gudāz ai 'āsif'
thoḌī sī baat meñ tamām kiyā
is ada se mujhe salam kiya
ek hi aan mein ghulam kiya
le gaya nang-o-nam ab mujh se
ishq ne aaKHir apna kaam kiya
yaro us gul-badan ke tain hum ne
kal saba se yahi payam kiya
hum se milte raha karo pyare
chah mein garche apna nam kiya
qissa-e-jaan-gudaz ai 'asif'
thoDi si baat mein tamam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.