yun bhi nahin ki sham-o-sahar intizar tha
yuuñ bhī nahīñ ki shām-o-sahar intizār thā
kahte nahīñ the muñh se magar intizār thā
muddat ke ba.ad phuul kī sūrat khilā thā dil
shabnam kī tarah tāza-o-tar intizār thā
bāloñ meñ dhuul paañv meñ chhāle na the magar
phir bhī kuchh ek ranj-e-safar intizār thā
koī ḳhabar thī us kī parindoñ ke shor meñ
rañg-e-havā meñ shāḳh-o-shajar intizār thā
yuuñ thī javāharāt lab-o-chashm kī jhalak
jaise ye koī la.al-o-gohar intizār thā
dālān-o-dar meñ ek tavaqqo.a thī mauj mauj
dīvār-o-bām the ki bhañvar intizār thā
aise meñ e'tibār kisī par na thā mujhe
maiñ bhī thā saath saath jidhar intizār thā
āñkheñ thiiñ ḳhushk ḳhushk to dil bhī thā band band
khul hī nahīñ rahā thā kidhar intizār thā
māyūs hone vaale na the ham bhī ai 'zafar'
aayā nahīñ to bār-e-digar intizār thā
yun bhi nahin ki sham-o-sahar intizar tha
kahte nahin the munh se magar intizar tha
muddat ke baad phul ki surat khila tha dil
shabnam ki tarah taza-o-tar intizar tha
baalon mein dhul panw mein chhaale na the magar
phir bhi kuchh ek ranj-e-safar intizar tha
koi KHabar thi us ki parindon ke shor mein
rang-e-hawa mein shaKH-o-shajar intizar tha
yun thi jawaharaat lab-o-chashm ki jhalak
jaise ye koi lal-o-gohar intizar tha
dalan-o-dar mein ek tawaqqoa thi mauj mauj
diwar-o-baam the ki bhanwar intizar tha
aise mein e'tibar kisi par na tha mujhe
main bhi tha sath sath jidhar intizar tha
aankhen thin KHushk KHushk to dil bhi tha band band
khul hi nahin raha tha kidhar intizar tha
mayus hone wale na the hum bhi ai 'zafar'
aaya nahin to bar-e-digar intizar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.