kis takalluf se hamein zer-e-aman rakkha gaya
kis takalluf se hameñ zer-e-amāñ rakkhā gayā
āhanī piñjre meñ apnā āshiyāñ rakkhā gayā
ek hī zanjīr thī us paar se is paar tak
kaj-ravī kā koī vaqfa hī kahāñ rakkhā gayā
apne ḳhvāboñ kī zamīñ par ḳhushk-sālī kab huī
har samay ik ret kā dariyā ravāñ rakkhā gayā
us kināre koī apnā muntazir ho yā na ho
ye bhī kyā kam hai ki itnā ḳhush-gumāñ rakkhā gayā
ab to ham aapas meñ bhī milte nahīñ khulte nahīñ
kis balā kā ḳhauf apne darmiyāñ rakkhā gayā
'yūsuf' ik bhedoñ bhare pul kī rifāqat par hameñ
kitnī vīrāñ sā'atoñ meñ rā.egāñ rakkhā gayā
kis takalluf se hamein zer-e-aman rakkha gaya
aahani pinjre mein apna aashiyan rakkha gaya
ek hi zanjir thi us par se is par tak
kaj-rawi ka koi waqfa hi kahan rakkha gaya
apne KHwabon ki zamin par KHushk-sali kab hui
har samay ek ret ka dariya rawan rakkha gaya
us kinare koi apna muntazir ho ya na ho
ye bhi kya kam hai ki itna KHush-guman rakkha gaya
ab to hum aapas mein bhi milte nahin khulte nahin
kis bala ka KHauf apne darmiyan rakkha gaya
'yusuf' ek bhedon bhare pul ki rifaqat par hamein
kitni viran sa'aton mein raegan rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.