aisa wo be-shumar-o-qatar intizar tha
aisā vo be-shumār-o-qatār intizār thā
pahlī hī baar dūsrī baar intizār thā
ḳhāmoshī-e-ḳhizāñ thī chaman-dar-chaman tamām
shāḳh-o-shajar meñ shor-e-bahār intizār thā
dekhā to ḳhalvat-e-ḳhas-o-ḳhāshāk ḳhvāb meñ
raushan koī charāġh-e-sharār intizār thā
bāhar bhī gard umiid kī uḌtī thī duur duur
andar bhī chāroñ-samt ġhubār intizār thā
phaile hue vo ghaas ke taḳhte na the vahāñ
dar-asl ek silsila-vār intizār thā
koī ḳhabar thī āmad-o-imkān-e-sub.h kī
aur us ke ird-gird hisār intizār thā
kis ke gumān meñ the na.e mausamoñ ke rañg
kis kā mire sivā sarokār intizār thā
umDā huā hujūm-e-tamāshā thā dā.eñ-bā.eñ
tanhā thiiñ āñkheñ aur hazār intizār thā
chakkar the paañv meñ koī shām-o-sahar 'zafar'
uupar se mere sar pe savār intizār thā
aisa wo be-shumar-o-qatar intizar tha
pahli hi bar dusri bar intizar tha
KHamoshi-e-KHizan thi chaman-dar-chaman tamam
shaKH-o-shajar mein shor-e-bahaar intizar tha
dekha to KHalwat-e-KHas-o-KHashak KHwab mein
raushan koi charagh-e-sharar intizar tha
bahar bhi gard umid ki uDti thi dur dur
andar bhi chaaron-samt ghubar intizar tha
phaile hue wo ghas ke taKHte na the wahan
dar-asl ek silsila-war intizar tha
koi KHabar thi aamad-o-imkan-e-subh ki
aur us ke ird-gird hisar intizar tha
kis ke guman mein the nae mausamon ke rang
kis ka mere siwa sarokar intizar tha
umDa hua hujum-e-tamasha tha daen-baen
tanha thin aankhen aur hazar intizar tha
chakkar the panw mein koi sham-o-sahar 'zafar'
upar se mere sar pe sawar intizar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.