KHirad walo junun walon ke viranon mein aa jao
ḳhirad vaalo junūñ vāloñ ke vīrānoñ meñ aa jaao
diloñ ke baaġh zaḳhmoñ ke gulistānoñ meñ aa jaao
ye dāmān o garebāñ ab salāmat rah nahīñ sakte
abhī tak kuchh nahīñ bigḌā hai dīvānoñ meñ aa jaao
sitam kī teġh ḳhud dast-e-sitam ko kaaT detī hai
sitam-rāno tum ab apne azā-ḳhānoñ meñ aa jaao
ye kab tak sard lāsheñ be-hisī ke barf-ḳhānoñ meñ
charāġh-e-dard se raushan shabistānoñ meñ aa jaao
ye kab tak sīm-o-zar ke jañgaloñ meñ mashk-e-ḳhūñ-khvārī
ye insānoñ kī bastī hai ab insānoñ meñ aa jaao
kabhī shabnam kā qatra ban ke chamko lāla-o-gul par
kabhī dariyāoñ kī sūrat bayābānoñ meñ aa jaao
havā hai saḳht ab ashkoñ ke parcham uḌ nahīñ sakte
lahū ke surḳh parcham le ke maidānoñ meñ aa jaao
jarāhat-ḳhāna-e-dil hai talāsh-e-rañg-o-nik.hat meñ
kahāñ ho ai gulistāno garebānoñ meñ aa jaao
zamāna kar rahā hai ehtimām-e-jashn-e-bedārī
garebāñ chaak kar ke sho.ala-dāmānoñ meñ aa jaao
KHirad walo junun walon ke viranon mein aa jao
dilon ke bagh zaKHmon ke gulistanon mein aa jao
ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte
abhi tak kuchh nahin bigDa hai diwanon mein aa jao
sitam ki tegh KHud dast-e-sitam ko kaT deti hai
sitam-rano tum ab apne aza-KHanon mein aa jao
ye kab tak sard lashen be-hisi ke barf-KHanon mein
charagh-e-dard se raushan shabistanon mein aa jao
ye kab tak sim-o-zar ke jangalon mein mashk-e-KHun-khwari
ye insanon ki basti hai ab insanon mein aa jao
kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko lala-o-gul par
kabhi dariyaon ki surat bayabanon mein aa jao
hawa hai saKHt ab ashkon ke parcham uD nahin sakte
lahu ke surKH parcham le ke maidanon mein aa jao
jarahat-KHana-e-dil hai talash-e-rang-o-nikhat mein
kahan ho ai gulistano garebanon mein aa jao
zamana kar raha hai ehtimam-e-jashn-e-bedari
gareban chaak kar ke shoala-damanon mein aa jao
- Book : lahoo pukarta hai (Pg. 57)
- Author : ali sardar jafri
- Publication : maktaba jamia limite (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.