ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai
ik tabī.at thī so vo bhī lā-ubālī ho ga.ī
haa.e ye tasvīr bhī rañgoñ se ḳhālī ho ga.ī
paḌhte paḌhte thak ga.e sab log tahrīreñ mirī
likhte likhte shahr kī dīvār kaalī ho ga.ī
baaġh kā sab se baḌā jo peḌ thā vo jhuk gayā
phal lage itne ki bojhal Daalī Daalī ho ga.ī
ab tū darvāze se apne naam kī taḳhtī utaar
lafz nañge ho ga.e shohrat bhī gaalī ho ga.ī
khīñch Daalā aañkh ne sab āsmānoñ par hisār
ban chuke jab dā.ere parkār ḳhālī ho ga.ī
sub.h ko dekhā to 'sājid' dil ke andar kuchh na thā
yaad kī bastī bhī rātoñ-rāt ḳhālī ho ga.ī
ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai
hae ye taswir bhi rangon se KHali ho gai
paDhte paDhte thak gae sab log tahriren meri
likhte likhte shahr ki diwar kali ho gai
bagh ka sab se baDa jo peD tha wo jhuk gaya
phal lage itne ki bojhal Dali Dali ho gai
ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar
lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai
khinch Dala aankh ne sab aasmanon par hisar
ban chuke jab daere parkar KHali ho gai
subh ko dekha to 'sajid' dil ke andar kuchh na tha
yaad ki basti bhi raaton-raat KHali ho gai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 139)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.