ek lamha bhi guzarun bhala kyun kisi ke sath
ik lamha bhī guzārūñ bhalā kyuuñ kisī ke saath
guzre tamām umr mirī aap hī ke saath
jab haath dostī kā baḌhāyā ḳhushī ke saath
us ne mujhe qubūl kiyā ḳhush-dilī ke saath
dil se kiyā hai yaad use maiñ ne jab kabhī
iz.hār-e-hijr kartī haiñ āñkheñ namī ke saath
ik baar mere yaar ne aisā kiyā mazāq
allāh re na ho kabhī aisā kisī ke saath
is tarah munsalik huā urdu zabān se
miltā huuñ ab sabhī se baḌī ājizī ke saath
baaqī rahī hai dil meñ ye hasrat tamām umr
'mahtāb' kā dayār ho us kī galī ke saath
ek lamha bhi guzarun bhala kyun kisi ke sath
guzre tamam umr meri aap hi ke sath
jab hath dosti ka baDhaya KHushi ke sath
us ne mujhe qubul kiya KHush-dili ke sath
dil se kiya hai yaad use main ne jab kabhi
izhaar-e-hijr karti hain aankhen nami ke sath
ek bar mere yar ne aisa kiya mazaq
allah re na ho kabhi aisa kisi ke sath
is tarah munsalik hua urdu zaban se
milta hun ab sabhi se baDi aajizi ke sath
baqi rahi hai dil mein ye hasrat tamam umr
'mahtab' ka dayar ho us ki gali ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.