ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka
īfā-e-va.ada aap se ai yaar ho chukā
us kā to imtihān ka.ī baar ho chukā
ahbāb haath uThā.eñ hamāre ilaaj se
sehat-pazīr ishq kā bīmār ho chukā
vo be-hisāb baḳhsh de ye baat aur hai
apne hisāb meñ to gunahgār ho chukā
maiñ haath joḌtā huuñ baḌī der se huzūr
lag jā.iye gale se ab inkār ho chukā
bechūñ kahāñ maiñ apne dil-e-dāġh-dār ko
saudā burā pasand ḳharīdār ho chukā
piirī meñ parvarish hai abas jism-e-zār kī
pheñkūñ kisī ghaḌī maiñ ye bekār ho chukā
barham vo shoḳh kyuuñ na ho kyuuñ zulf ko chhuā
ye haath hathkaḌī ke sazā-vār ho chukā
ab mujh se iltiyām kī bāteñ na kījiye
dil tum se phaT gayā jigar afgār ho chukā
mujh dil-figār ko na rahī tum se kuchh umiid
ye ḳhatt-e-sabz marham-e-zañgār ho chukā
darbān ko salām kareñ ghar kī raah leñ
vo muñh chhupā ke baiThe haiñ dīdār ho chukā
bande ke haal par nazar-parvarish rahe
husn-e-malīh kā maiñ namak-ḳhvār ho chukā
luuñ bosa ḳhūñ-bahā maiñ us abrū-kamān se
ab to jigar se tīr-e-nigah paar ho chukā
ai 'bahr' ab to baat bhī kartā nahīñ vo shoḳh
vo rasm-o-rāh ho chukī vo pyaar ho chukā
ifa-e-wada aap se ai yar ho chuka
us ka to imtihan kai bar ho chuka
ahbab hath uThaen hamare ilaj se
sehat-pazir ishq ka bimar ho chuka
wo be-hisab baKHsh de ye baat aur hai
apne hisab mein to gunahgar ho chuka
main hath joDta hun baDi der se huzur
lag jaiye gale se ab inkar ho chuka
bechun kahan main apne dil-e-dagh-dar ko
sauda bura pasand KHaridar ho chuka
piri mein parwarish hai abas jism-e-zar ki
phenkun kisi ghaDi main ye bekar ho chuka
barham wo shoKH kyun na ho kyun zulf ko chhua
ye hath hathkaDi ke saza-war ho chuka
ab mujh se iltiyam ki baaten na kijiye
dil tum se phaT gaya jigar afgar ho chuka
mujh dil-figar ko na rahi tum se kuchh umid
ye KHatt-e-sabz marham-e-zangar ho chuka
darban ko salam karen ghar ki rah len
wo munh chhupa ke baiThe hain didar ho chuka
bande ke haal par nazar-parwarish rahe
husn-e-malih ka main namak-KHwar ho chuka
lun bosa KHun-baha main us abru-kaman se
ab to jigar se tir-e-nigah par ho chuka
ai 'bahr' ab to baat bhi karta nahin wo shoKH
wo rasm-o-rah ho chuki wo pyar ho chuka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.