hu-ba-hu aap hi ki murat hai
hū-ba-hū aap hī kī mūrat hai
zindagī kitnī ḳhūb-sūrat hai
jis tarah phuul kī gulistāñ ko
zindagī ko mirī zarūrat hai
ḳhaas mehmāñ haiñ aadam o havvā
ik na.ī duniyā kī mahūrat hai
kahtī hai kuchh zabāñ se kah 'akbar'
is tarah kaahe mujh ko ghūrat hai
hu-ba-hu aap hi ki murat hai
zindagi kitni KHub-surat hai
jis tarah phul ki gulistan ko
zindagi ko meri zarurat hai
KHas mehman hain aadam o hawwa
ek nai duniya ki mahurat hai
kahti hai kuchh zaban se kah 'akbar'
is tarah kahe mujh ko ghurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.