tera lab dekh haiwan yaad aawe
tirā lab dekh haivāñ yaad aave
tirā mukh dekh kan.āñ yaad aave
tire do nain jab dekhūñ nazar bhar
mujhe tab nargisistāñ yaad aave
tirī zulfāñ kī tūlānī kuuñ dekhe
mujhe lail-e-zamistāñ yaad aave
tire ḳhat kā zamurrad-rañg dekhe
bahār-e-sumbulistāñ yaad aave
tire mukh ke chaman ke dekhne suuñ
mujhe firdaus-e-rizvāñ yaad aave
tirī zulfāñ meñ yū mukh jo ki dekhe
use sham-e-shabistāñ yaad aave
jo kui dekhe mirī añkhiyāñ ko rote
use abr-e-bahārāñ yaad aave
jo mere haal kī gardish kuuñ dekhe
use girdāb-e-gardāñ yaad aave
'valī' merā junūñ jo kui ki dekhe
use koh o bayābāñ yaad aave
tera lab dekh haiwan yaad aawe
tera mukh dekh kanan yaad aawe
tere do nain jab dekhun nazar bhar
mujhe tab nargisistan yaad aawe
teri zulfan ki tulani kun dekhe
mujhe lail-e-zamistan yaad aawe
tere KHat ka zamurrad-rang dekhe
bahaar-e-sumbulistan yaad aawe
tere mukh ke chaman ke dekhne sun
mujhe firdaus-e-rizwan yaad aawe
teri zulfan mein yu mukh jo ki dekhe
use sham-e-shabistan yaad aawe
jo kui dekhe meri ankhiyan ko rote
use abr-e-bahaaran yaad aawe
jo mere haal ki gardish kun dekhe
use girdab-e-gardan yaad aawe
'wali' mera junun jo kui ki dekhe
use koh o bayaban yaad aawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.